WordPress par Blog banane ke baad har kisi ko apne blog par kuch bhi features add karne ke liye Essential plugins ko use karna padhta hai. Aur blog par shahi plugin use karke aap apne blog ko next level tak lekar ja sakte hai. So is post par main aapko WordPress blog ke liye 15 Essential Plugins ke bare me bataonga jo aapke blog par jarur hi install honi chahiye.
Bahut se newbies plugins ki importance ko achi taraha nahi samate aur apni blog par galat plugin use karte hai. Jisse unko apni blog ko success banane me bahut hi parisani hoti hai.
WordPress par aapko bahut se plugins to milte hai. But shabhi plugins ache nahi hote. Yani bahut se aise plugins hai jinhe poorly coded kiya hota hai, Ya fir plugins ki size bahut badhi hoti hai, Regular Updates nahi hoti etc.
Agar aap aise plugins ko apni blog par use karenge to aapki blog ki loading speed bahut hi slow hoti hai, Blog ki traffic increase nahi hogi aur Agar aapki plugin poor coded hogi to aapki blog hacked bhi ho sakti hai.
So main aapke liye kuch aise plugins laya hu jo ki bahut hi Popular WordPress plugins hai. Aur Bahut hi essential bhi hai aapke blog ke liye.

WordPress Blog Ke Liye 15 Essential Plugins
1) Jetpack:
WordPress blog ke liye Bahut hi powerful aur bahut se features is plugin par aapko milte hai. Jo aapki blog ko secure karne ke sath aapki blog ki traffic aur performance ko bhi badiya banati hai.
Jetpack par aap apne images ki performance ko fast bana sakte hai, Lazy load use kar sakte ho, Site ki status dekhna, Automatic social site par share karna, Related post add karna aur bhi bahut kuch aap is plugins ki help se kar sakte ho.
2) Akismet
Akismet WordPress blog ki default plugin hai jo aapko WordPress install karne ke sath hi milti hai. Aur ye ek anti spam plugin hai.
Blog banane ke baad blog par bahut se comments aate hai. Jinme bahut se spam comment bhi hote hai. Akismet aapke blog ki spam comments ko block karne ke sath aapki comments ki status bhi dekh sakte ho.
3) Yoast SEO Plugin
SEO kya hai har blogger ko is bare me jankari honi chahiye. Aur blog ko success banane ke liye SEO ka sabse badha role hota hai.
Aur yoast seo plugin ek aisa plugin hai jispar aapko SEO ki shabhi features milte hai jaise, Search engine par submit,
Sitemap submit, Title, Mata description, ke sath shabhi on page seo techniques ko aap is plugin ke help se bahut hi easily kar sakte ho.
So ise aap No 1 WordPress SEO plugin kehe sakte hai. Aur ye 5+ million se bhi jyad download kiya ek bahut hi popular SEO plugin hai.
4) Wp Fastest Cache
Wp Fastest cache plugin aapki Dynamic WordPress blog se ek static html file banati hai. Jab kisi page ko open kiya jata hai to PHP aur mysql ka use kiya jata hai. Isliye system ko ram aur CPU ki jarurat hoti hai.
Agar koi aapki site par ate hai to system bahut hi ram aur cpu ka use karte hai. Jisse aapki website slow ho jati hai.
So iske liye aapko Wp fastest cache plugin help karega. Ye plugin aapki page ki ek HTML file banakar save karti hai. Aur users ko show karti hai. Jisse aapki site slow nahi hoti hai.
Aur is plugin ko setup karne ke liye aapko. htacces file ko modify karne ki koi jarurat nahi. Because Ye automatically modified ho jati hai.

5) WP-Optimize
Blog ko fast loading banane me Wp optimize plugin bahut hi help karti hai. Is plugin ki help se aap apni blog ki databases ko clean kar sakte ho.
Jab ham blog ko open karte hai aur blog par kuch bhi activities karte hai to aapki blog par bahut si unwanted data store ho jati hai jaise post revision, trashed, spam comments, post, pages ki bajaha se bhi aapki blog ki loading slow hoti hai.
But WP optimize plugin ki help se aap aise unwanted data ko ek hi click me remove karke apni blog ko fast loading bana sakte hai.
6) Updraft Backup/Restore
Jab aap WordPress blog banayenge to Aapne apni blog par bahut kuch invest karenge. Aur aaj kal har din bahut se blogs hacked hote hai. So aise me agar aap apne blog ki backup nahi rakhenge to kya pata kab aapki blog hacked ho jaye.
So hame apni blog ki backup hamesha rakhni chahiye. Aur WordPress par Updraft/backup restore plugin ek aisi popular backup plugin hai. Jiske backup aap apni Google drive, Dropbox, Amazon S3 par save kar sakte ho.
7) Redirection
Blogging me hame bahut bar apni post ko update karna padhta hai jisme ham apni post ki URL bhi change karte hai. Ya manlo apne blog ko blogger se WordPress par move kiya ho to aise me aapke bahut se post 404 error hote hai.
Aur WordPress par aap ek plugin ko use karke aap apne post ko 301 par redirection kar sakte ho. Aur apni blog ki rank aur traffic lose hone se bach sakte hai. And is WordPress popular plugin ka name hai redirection plugin. Jisse aap apni blog par free me install kar sakte ho.
8) Social Warfare
Blog par traffic increase karne me social share button bahut help karti hai. Jis button par click karke visitors aapki blog post ko or blog ko apne social account par share karte hai. Aur aapki blog par unke social site se visitors aate hai.
WordPress par aapko bahut se social sharing ke plugin milenge. But Jyadatar aapki website ki performance ko kharab karti hai.
So aap Social Warfare plugin use kare. Because ye bahut hi lighting fast aur beautiful hai. Jiski help se aap jaha chahe apne social share ke buttons ko add kar sakte hai

9) Newsletter
Email Marketing ke bare me aap jante honge. Jo ki bahut hi popular tarika hai apni blog par targeted visitors ko lane ke liye.
But sabse pehele aapke blog me ek Email subscribe box add karna bahut hi jaruri hai. Jiske jariye aapke visitors aapki blog ko subscribe karenge.
Aur bahut se visitors blog ko subscribe to karte hai. But confirm nahi karte aur aise visitors ko aapko resend activation ka message send karna hoga. Aur apne subscribers ko email notifications send karne ke liye Newsletter plugin aapki help karti hai.
Aap is plugin ki help se email subscribe option ko badiya tarike se maintain kar sakte ho. So apni blog par newsletter plugin ko use kare.
10) Simple Author Box
Jab koi visitors blog par aate hai to wo Blog ke author ke bare me jarur janna chahega. So iske liye aapko apni blog par ek author box add karna padhega.
And Simple author box ki help se aap ek bahut hi attractive aur beautiful author box ko apni blog par add kar sakte ho.
11) Ad Inserter
Blog se paisa kamana har blogger ki dream hai. Aur blog par har koi Google AdSense ke ads show karna chahta hai. Because Google publisher ko sabse jyada pay karne wali company hai.
Aur Google AdSense to aapki bahut hi easily approved ho jayegi. But agar aapne apne blog par badiya se ads ko placement nahi kiya to aapki ads par jyada click nahi honge. Jiss bajaha se aapki earning bhi kam hogi.
So ads placement achi taraha se karne ke liye aap Ad Inserter plugin ko use kar sakte ho. Aur ispar ads placement karne ke liye aapko kisi technical knowledge ki jarurat bhi nahi hogi. Aur ye bilkul free WordPress plugin hai.
12) Easy Table Of Content
Jab ham Blog post likhte hai to ek ek post bahut hi jyada length ki ho jati hai. So visitors ko aapki post read karne me bahut hi parisani hoti hai.
So aap Easy Table of Content plugin ko use karke aap apni post ki headers ko upar hi show kar sakte hai. Jispar click karke visitors uss heading ko read kar sakte hai.
13) Title And NoFollow For Links
Jab aap blogging karte ho to aapko apni blog par bahut se links add karna padhta hai. Jispar bahut se links aapki sites ki content related nahi hoti hai.
Aur aise link ko aapko NoFollow link dena chaiye. Aur iske liye aap WordPress ki Title and Nofollow for links plugin use karke badi easily se unrelated links ko aap nofollow link bana sakte ho.
14) Contact Form 7
Aapne bahut se blog par Contact Us page dekha hoga. Aapko bhi apni blog par Contact us page add karna hoga.
Because agar koi visitors aapse kisi karan contact karna chahe to wo contact us page ki help se easily aapko contact kar sakte hai.
Sath hi agar aapko Google AdSense se paise kamana hai to aapke blog par About us, Privacy Policy, Contact us page hona bahut hi jaruri hai.
And WordPress par contact us page add karne ke liye Contact Form 7 bahut hi popular plugin hai jiski help se aap ek bahut hi badiya aur beautiful contact us page create kar sakte ho.
15) Google Analytics
Blog par visitors kaha se aa rahe hai, kitne visitors aapki blog par per day, week, month aate hai, kya search karke aapki blog par aate hai, Konse time me sabse jyada visitors aaye hai. Aisi bahut si baaton ko janne ke liye aapko apni blog ko track karna hoga.
Aur Google Analytics plugin aapko isme help karti hai. Aap is plugin ki help se apni blog ko properly Track kar sakte ho. Aur blog par ho rahi har ek harkat par aap najar rakh sakte hai. Aur sath hi aap apni blog ki Bounce rate ke bare me bhi aap is plugin ki madat se dekh sakte ho.
how I start blogging WordPress Par Blog Start Kare 10 best tips
Final Words
Inke alawa aur bhi bahut se plugins hai WordPress par but in plugins ko maine apne shabhi blog par 3 yrs se use kar raha hu. And ye plugins ko aap free me use kar sakte ho. Aur mere hisab se ye best and bahut hi essential plugins hai har WordPress blog ke liye.
But agar aap in plugins ke badle kisi dusre plugins ko use karte ho aap apne shabhi plugins ko check karle ki wo regular update ho rahi hai ya nahi. Aur kya aapki plugins se site ki performance ko slow ho rahi hai. To aap in plugins ko use kare.
Because in plugins se aapki blog ki performance show nahi balki fast hogi. Aur in plugins ko regular update bhi karte hai. Jiske karan ye WordPress ke sabse popular plugins bhi hai.
Finally ummid karta hu ki ye jankari aapko achi lagi! Aur agar koi bhi questions ho WordPress plugins ke related to aap nichee comments box par bataye. Muje khoshi hogi aapki help karne me.