best Web hosting ek bahut hi important chiz hoti hai WordPress blog banane ke liye. So agar aap ek newbie hai to aapko is bare me achi jankari honi chaiye ki web hosting kya hai ? Aur apne WordPress blog ke liye best hosting kaise select kare.
Because agar aap ek galat hosting Choose aur buy karoge apne blog ke liye to aap apni blogging continue nahi kar sakte. Aur bahut hi kam days me hi aapko bahut se problem face karna padhega. So aapke blog ke liye ek perfect hosting choose karna bahut hi important hota hai.
Web Hosting Kya Hai
Web hosting ek place hai jo internet par File host karne ke liye use kiya jata hai. And ye hosting company ke own server par chalti hai.
Jaise hame rehene ke liye ek ghar ki jarurat hoti hai. Thik woise hi website ke file, Docoments, Photos etc ko store karne ke liye wb hosting ki jarurat hoti hai.

But agar aapne recently WordPress par transfer kiya hai to may be aap confused ho sakte hai ki Blogger par to hosting ki jarurat nahi padti ? To phir WordPress ke liye kyu Webhosting ki jarurat hoti Hai ?
To maine aapko batadu ki blogger ek Google ki free service hai and blogger Google ki server par host reheti hai. So aapko blogger par Hosting ki jarurat nahi hoti hai. But WordPress ek self hosted blog service hai. So ispar aapko apni blog ko khod hi host karna padhta hai.
Web hosting ko easily samajne ke liye aap is eek badha wala Computer bhi kehe sakte hai. Jaha par aapki website ki file host reheti hai. And ye 24*7 hi active reheti hai aur jab koi aapki website apne computer par open karte hai to ye badha computer unko unke computer par aapki site ki post or pages ko open karta hai. Isiko server kehete hai.
And ye user tak jitni fast show karta hai ise server speed kahete hai.
web Hosting Kitne Types Ke Hote Hai
Hosting Choose karne se pehele aapko iski types ke bare me achi jankari honi chaiye. And Web hosting bahut types ke ho hai. Jaise,
- Shared Hosting : Shared hosting aisa hosting hota hai jispar bahut se websites ek hi server par host hoti hai
Example ke liye manlo aap ek Apartment par rahete hai. To ispar jaise bahut se log rehete hai. Shared hosting par bhi aise bahut se website host rehete hai.

- VPS (Virtual Private Server) : Is hosting me Only aapki website hi host reheta hai. Matlab ki Jis computer me aapne apne website ko host kiya hai wo bas aapka.
But ye hosting Shared hosting se thoda jyada costly hai. Agar aapke website par bahut jyada visitors hai then aap is hosting ko use kare. Isme aapko kisi another se share karna nahi padta. Aur aapke website ko best security and Performance bhi milti hai.
- Dedicated Hosting: Dedicated hosting shared hosting ka opposite hai. Jeise shared hosting par Bahut sare website host rehete hai. But dedicated hosting me shirf 1 hi website ko hosting kiya jata hai. Isme share nahi hota hai. Example ke liye manlo aap ek badhe home par rehete hai.
Aur uspar kisi other ko rehene ki permission bhi nahi hoti. Dedicated hosting same isi taraha hoti hai. Jispar shirf aapki website ki file host hoti hai. And ye hosting baki hosting se thodi costly hai.
- Cloud-Based Web Hosting: Ispar bahut se individual server ek sath kaam karti hai. And ye hosting huge traffic ko easily handle kar sakti hai. Aur ye share hosting se fast bhi hoti hai.
- Managed WordPress Hosting: Ye hosting specially WordPress Site ke liye banaya gaya hai. And ispar aapki WordPess Site hamesa up to date and Secure raheti hai.
- Reseller Web Hosting: Ye same shared hosting ki taraha hoti hai. But ispar aapko kuch extra tools milte hai.
To ye the kuch hosting ke types. To chaliye ab jante hai ki best hosting select karne se aapko kya profits hota hai.
Apni WordPress Blog Ke Liye Best Hosting Choose Karne Ke Faide
Best hosting se aapko bahut hi help hoti hai. Chaliye niche kuch points me batata hu ki best hosting select karne se aapko kya kya profits hoti hai.
Improve SEO: Best hosting se aapki site ki loading time badiya hoti hai. Aur site down kam hoti hai. And loading speed SEO ki ek ranking factor hai. Aur better speed se aapko better ranking me help hoti hai.
Increase Blog Traffic: kisi bhi visitors ko slow site pasand nahi hoti hai. So agar site ki speed achi ho to aapki blog ki traffic bhi increase hogi. Because koi bhi visitors achi loading speed wale site ko ignore nahi kar sakte.
Security: Agar aap apni WordPress blog ke liye best hosting select karoge to jarurat padhne par aapko aapki site ki full backup mill jati hai. Yani agar kabhi aapki site hacked ho jaye to bhi aap apni hosting providers se aapki site ki backup le sakte ho.
Better Revenue Generation: jab aapki blog ki loading speed achi hogi aur blog par traffic increase hogi to aapki blog ki earning bhi jarur hi increase hogi.
WordPress Blog Ke Liye Best Hosting Kaise Select Kare( Step By Step)
#1 Your Requirements & Budget

Aap apne blog ke liye Web Hosting choose karna easy nahi hai. Jab tak aap apne blog ke liye ek perfect niche select nahi kar lete.
Aap apne budget ke anusar ek multi niche blog start kar sakte hai. But ek multi niche blog par Authority banana aur earning karna thoda time lagta hai.
Agar aap apni blog photography, or fashion ke upar banayenge jispar jyada photo use karna padta hai to aapke liye shared hosting se cloud hosting best hai. And cloud hosting shared hosting ki loading bhi achi hoti hai.
But agar aapke pass budget kam hai to aap shared hosting ke sath kuch image optimize, cache plugin or CDN ko use karke apne blog ko fast loading bana sakte ho.
Aur agar ye properly work na kare to bhi aap apni blog ki full backup rakhkar apni hosting plan change kar sakte ho.
Because maximum web hosting providers 30 days ki money return offers karti hai. So aap sure hone se pehele ise check kar sakte ho.
#2 Server Reliability & Location
Aapne select kiya server 99.9% uptime aur 24*7 operting web host honi chaiye. Because ek smooth running or fast loading website. And ye search engine par aapko achi rank dilane me help karti hai.
#3 price Of Hosting Plan & Future
Aap shabhi best hosting provaider ki price compare karle. Because hosting renewal me first time se jyada cost hota hai. And hosting ki futures check karna mat bhule.

Because low price ki hosting par kuch important chize nahi hoti hai. Iske liye aap hosting company ki sell team ko contact kare.
Hosting ki kuch main futures jo aapko hosting buy karne se pehele check karna chaiye.
• PHP Version 7 or Greater
• MYSQL Version 5.6 or greater
• Unlimited Disk Space
• Unmetered Bandwidth
• Unlimited Domain Hosting
• Free Domain Name(*)
• Unlimited add-on domains, Parked Domains, & Subdomains
• Free SSL Certificate
• cPanel Account Control Panel
• FTP Access
• Unlimited Email Accounts
• Unlimited Email Storage
• Marketing Offers For Adword Or Bing Ads
Note: Kuch best hosting providers bhi free SSL aur Domain nahi dete hai. But aap jo company free SSL provide karti hai usiko select kare. Because SSL bhi Google Ranking factor hai. Aur agar aap is extra kharidna chaho to iski cost thodi jyada hai.
#4 Support

Aap jis company se hosting buy karna chaho uski aap support service hai ya nahi ye bhi check karle. Because koi bhi system 100% perfect nahi hoti hai. But agar support option available ho to problem hone par bhi hosting company aapki problem solve kar deti hai.
Jyadatar hosting company call, chat and email support 24*7 provide karti hai. But hosting buy karne se pehele aap unki sales team se aap service and response check karle.
#5 Refund Policy
Hosting choose karne se pehele uski refund policy or terms and condition ko achi taraha check karle. Bahut se hosting company 30 days money back guaranty dete hai. Agar kisi karan aapne buy kiya hosting plan aapke liye perfect na ho to aap use cancel karke apni paise save kar sakte ho.